tabs menu

Saturday 13 September 2014

....///

हार जाउँगा मुकदमा उस अदालत में, ये मुझे यकीन था..
जहाँ वक्त बन बैठा जज और नसीब मेरा वकील था…!!

HEART TOUCHING....

Ek pahchan hajaro Dost bana deti hain,
Ek muskaan hajaro gum bhula deti hain
Zindagi ke safar me sambhal kar chalna
Ek galti hajaro sapne jala kr raakh deti h

2 LINES SAD

Ajeeb Dastur hain mohbbat ka,
Ruth koi jata h, toot koi jata hai

ROMANTIC...

Lag ja gale ki phir ye haseen raat ho na ho
Shayd fir es janam me mulaaqaat ho na ho

MOHBBAT...

Dukh me khusi ki wajah banti h mohabbat,
Dard me yaado ki wajah banti h mohabbat
Jab kuch b acha nai lagta hume duniya me
Tab humare jine ki wajah banti h Mohabbat

ROTA Q HAI...

Pyar jab milta nahi toh hota hi kyun hain…………
Agar khwab such nahi hote to insaan sota kyu h
Jb yahi pyar aankho ke samne kisi or ka ho jaye
Toh phir yeh pagal dil itnaa rotaa kyun hain…….

TERI KAMI...

Zubaan khamosh ankhon me nami hogi
Yahi bas meri ek dastan-e-zindagi hogi
Bharne ko toh har zakham bhar jayega
Kese bharegi wo jagah jaha teri kami hogi

USKE LIYE..

Uske liye saari duniya se bagawat ki thi
Yaad aata hai maine bhi mohabbat ki thi
Usko chhod ke haste huye ghar aakar,
Itna roye the ki aankho ne b shikayat ki thi

Friday 12 September 2014

jab bhi/////

Jab bhi dill mein koi vichar aata hai ,
Mera dill khamosh hokar rah jata hai.
Koi sab kuch keh kar pyar jatata hai,
Aur koi kuch na keh kar bhi sabh kuch keh jata hai.

Thursday 11 September 2014

sheeshe...////

Yeh sheeshe yeh sapne yeh dhage,
Kise kya khabar hai kahan toot jaye.
Mohhabat ke dariya main tinke waffa ke,
Na jane yeh kiss mod par doob jaye.

kaaagaz ki kashti....

Kagaz ki kashti thi aur pani ka kinara tha,
Khelne ki masti thi aur dil awara tha,
Kahan aa gaye jawani ke daldal main,
Kya kahen bachpan hi kitna pyara tha,
Utra tha chaand mere aangan main,
Yeh sitaroan ko gawara na tha,
Main to sitaroan se bagawat kar leta,
Par chand bhi kaha hamara tha.

fir na simtegi.....

Fir na simtegi agar dosti bikhar jayegi,
Zindagi zulf nahi jo fir se sawar jayegi.
Jo khushi de tumhe thaam lo daaman uska,
Zindagi roke nahi has ke gujar jayegi.

baat kya karu....

Wo baat kya karu jiski khabar hi na ho,
Wo dua kya karu jisme asar hi na ho.
Kaise keh du aap ko lag jaaye meri umar,
Kya pata agle pal meri umar hi na ho.

kaagaz....

Geele kagaz ki tarah hai zindagi apni,
Koi jalata bhi nahi aur bahata bhi nahi.
Is kadar akele hain raahon me dil ki,
Koi satata bhi nahi aur koi manata bhi nahi.

is kadar....

Is kadar na har baat yaron se pucho,
Jo baat raaz ki ho isharon se puchho,
Leharo se khelna to samandar ka shauk hai,
Lagti hai chot kaisi kinaron se puchho.

abhi to....

Abhi to baaz ki asali udaan baaki hai,
Abhi to aapka imtihan baaki hai,
Abhi tak to aapne zamin dekhi hai,
Abhi to pura aasmaan baaki hai.

......

Zindagi mein kisi ko is kadar mat pyar karo,
Ki zindagi bina unke aadhori lage,
Mohhabat is kadar karo ki,
Hamari mohhabat ke bine woh aadhoori lage.

.......

Fitrat aur haalat mein tasadum hai warna …
Insan kabhi dil ka bura nahi hota…………….!!!!!!!!!!!!!

gum-e-zindagi...

Gum-e-Zindagi ke sitamvaar bahut hain…
Ranj-o-Mayusi ke deedar bahut hain…
Himmat-e-Insaan ke aage kya nahi mumkin…
Mana ke Sikast-o-Haar ke aasaar bahut hain..!!

nahi hotaaa...

Utha hua har hath dua ke liye nahi hota,
Jhuka hua har parda hawa ke liye nahi hota,
Apni galtiyon se bhi chirag bhuj jate hai aksar,
Kasoor hawa ka har baar nahi hota…

duaa...

Yeh bhi ek dua hai khuda se,
Kisi ka dil na dukhe hamari wajah se,
Aye khuda kar de kuchh aisi inaayat hum pe,
Ki khushiyaan hi milein sabko hamaari wajah se.

yaad...

Jahan yaad na aaye teri,
Woh tanhaai kis kaam ki.
Bigde rishte na bane,
To khudaai kis kaam ki.
Beshak apni manzil tak jana hai hamein,
Lekin jahaan se apne na dikhein,
Woh oonchaai kis kaam ki!

FEELING OF SHARING GOD

It should not have happened
this way, or that way,
rendering breathing difficult
in the intense smoke of misunderstanding.
The granite wall between the doors!
You grope through a thicket of words
crossing the centuries of hate.
Sun, no sun settles for the hope
of a slain blankness, to properly
heave, a sigh after the childbirth of truth.
All the dead white bones, jutting out
from the ancestral incompleteness of
forgetfulness of man to accept gracefully
the suffering of neighbourhood. The very
feel of sharing a god.
You are what you are not
I am not, what I am.